Is post me internet se paise kamane ke bare me sabhi jankari par ham discuss karege, jaise online paise kamaye, sabhi tariko ke bare me janege aur in me se kounsa apke liye suitable rahega.
Abhi main jo tarike batane jaa rha hoon, un sab se aaap apni mahnat aur talent se paise kama sakte hai, ab wo aap kitne kama sakte hai wo apke talent par depend karta hai.
1. Blog Bana Kar Paise Kamaye
Yah abhi tak ka sabse popular tarika hai, isme aap ko ek blog (website) banana hota hai jisme apne interest ke topic par apna knowledge ko share karna hota hai, wo knowledge article me likh kar publish kiya jata hai.
Jab koi user Google par jo bhi information search karta hai, aur wahi information agar apne apne blog ke kisi article me likh rakhi hai to wo post ka link use mil jaega aur aise Google par search karne wala apke blog par aayega aur apke article ko ya us knowledge ko padhate hai aur phir un logo se aap kai tariko se paise kama sakte hai jaise unhe companies ki advertise show karna, apna product bechna, dusri companies ka product sale karke commission earn karna etc.
Blogging field pahle India me itna mahatva nahi diya jaa raha tha, iska reason yah bhi ho sakta hai ki pahle internet users bahut kam the aur jo the wo bhi ekdam new and beginnner internet users the jo internet ko kewal kuch download karne ke liye use me lete the na ki information ko read karne me.
Par aaj internet users ke badhne se blogging me kafi achhi speed se bloggers badh rahe hai aur blogs ban rahe hai.
Ab jab India me blogging ka scope badha hai to jahir hai Hind language me information bhi badhegi, internet par Hindi me koi bhi search karte hai pahle ki tulna me kafi achhe aur jyada results show hote hai.
Wikipedia jaisi website par dheere-dheere sabhi artilces Hindi language me convert ho rahe hai, yaani ki Hindi blogging ki awareness badh rahi hai, iska ek reason yah bhi hai ki ab Hindi blog par bhi Google Adsesne ki advertise lag sakti thi jo pahle nahi tha.
To agar apke pas me koi aisa knowledge hai ya talnet hai jise show karke badi aasaani se logo ko apne blog par attract kar sakte hai jaise agar aap ek girl & woman hai aur recipes ke bare me achha jante ho to us par blog kar sakte hai, agar aap boy ho aur interest hai cricket sports me to is par blog kar sakte hai.
Ek bat hamesha yaad rakhe internet par agar aap quality daloge to log apke paas me jarur ayege aur apki blog se income bhi achhi hogi, lekin agar kewal maksad paisa kamana hoga jisme aap nahi chahte ki internet par har user ko apke blog ki wajah se unki life me aasaani mile to sayad apke liye online paisa kamana thoda muskil ho sakta hai jaise kai logo kes hota bhi hai.
2. eCommerce Website Par Apni Business Ke Stuff/Product Bech Kar Paise Kamaye

Jab aap kisi eCommerce site par apne product sale karoge tab courier and shipping ka kaam apko karna nahi hoga, uske liye us site ke agent khud apke ghar ke address tak aeyge apko product ki packing karni hogi aur wo lekar jaege.
Is tarah se agar ap Kurtis, gowns, jean, shirts etc ki silai kar sakte hai to use online bechna bahut achha idea hoga.
Jaise me apko ek idea deta hun, agar apke ghar me aas paas ya aap ke hi ghar me koi lady hai jise silai pasand hai, aur unki silai kafi achhi bhi hai to aap unse kapde silwa kar online sale kar sakte hai, aur aisa kai log kar bhi rahe hai.
Dheere-dheere jab apka business badhne lage to amazon, flipkart, ebay etc. ke alwaa aap apni khudki eCommerce site kisi developer se banwa kar online selling karke badiya kamai kar sakte hai, is type ka business kitna aage tak jayega iski kya limit hai koi nahi kah sakte. Kyonki online selling ka scope badh raha hai aur technology hamesha badhati hi hai ghatati nahi.
Maine kuch best sites dusri post me mention ki hai, us post ka link niche diya hai.
3. Photo Bech Kar Kamaye
Kya apke paas me ek achha Camera hai aur apko photography ka kafi acha talent hai to aap isse bhi apni kamai kar sakte hai. Internet par agar aap search karoge to apko aisi bahut si website mil jaegi jo photo kharidati hai.
Waise agar aap direct photo sale nahi karna chahte ho aur chahte ho ki aapki khud ki ek site ho, ya photography blog ho jaha par kewal aap apne camera se alag-alag tarah ke photo dale aur users un photo ko free me dekh sakte hai download kar sakte hai aur apne commercial use me le sakte hai, tab bhi aap kamai kar sakte hai. Jaise apne kuch achhi image ko free me na dekar paid kar di, ya phir kisi company ka advertise banner laga diya.
Advertise banner laga dene ke bad me jitne user apke photography blog par aayege aap ki income utni jayda hogi, aur online advertise me kafi badiya network hai Google adsense, jiske bare me maine isi post me 9th point par bataya hai.
4. YouTube Channel Se Paise Kamaye
jaisa ki aap sab jante hai jab bhi kahi video ki bat aati hai YouTube number one video free hosting website hai. Jaha par top branded Bollywood & Hollywood ki movie companies bhi apni movie ke trailer aur video songs isi par upload karte hai. Aur kounsi movie jyada hit hogi yah YouTube par trailer ke popular se decide kiya jata hai.
Iske sath me agar aapke paas me kuch arts, knowledge, skill ya hobby hai to use YouTube par video par bana kar logo ko entertain ya educate karke paise kama sakte hai.
Isme ratio yah rahta hai ki jab apki video par 1,000 views ho jate hai tab apke 1$ ki kamai ban jati hai.
Kai log jo blogging karte hai wo apne blog ke topic par hi ek YouTube channel kar dete hai, taki dono taraf se benefits liya jaa sakte, waise YouTube par kuch sikhana bhi blogging hai jise aaj kal Vlogging khate hai.
Dhyan dene wali bat yah hai ki YouTube par videos par views itne aasani se aa jate hai jitne blog par nahi aate, blog karne ke liye apko thoda technical knowledge hona jaruru hai.
Par YouTube me apko kewal bolna achha aana chahiye, apke pas camera hona chahiye nahi to aap mobile se bhi kar sakte hai jaisa kai bade YouTubers karte bhi hai, aur sath me use edit karne ka software aur phir use upload kar sakte hai.
YouTube se paise kaise kamate hai, YouTube channel kaise banate hai aur YouTube par apne video par views kaise laate hai uske bar me maine ek post me bataya jiska link nichye diya hai.
- (4 Steps) YouTube Se Paise Kaise Kamaye?
- YouTube Par Channel Ya Account Kaise Banaye (Create) Kare? Hindi
- YouTube Video Par Views Kaise Badhaye, Increase Kare in Hindi
5. Online Service De
Agar apke pas me web designing, logo & icons designing, programming, app development ki koi skill hai to usse related koi bhi service dekar online paisa kama sakte hai.
Jaise agar aapke paas web designing ki skill hai aur agar nahi hai apni pahle koi bhi ek skill bana de aur usse logo ko help karke paise lene shuru kar de.
Online service ke through aap apne offline business ko bhi promote kar sakte hai, agar apke city me koi business hai, jaise manlo laptops ki, jaha par achhi quality aur achhi price ke laptop beche jate hai to aap ek online service website bana sakte hai jaha koi bhi laptop user form fill karega to apka koi employee uske ghar thik karne jayega. Yah idea city tak ke liye bahut achha hai.
Online business ke bare me lekar maine ek post alag se bhi likhi hai jisme maine achhe se explain kiya hai ki Internte par online business kaise shuru karte hai, uska link niche diya hai.
6.
Facebook Se Paise Kamaye
Agar apke pas me logo ko entertain karne ki skill hai aap apne ek Facebook page bana kar usme entertaining post dal kar apne page ko popular kar sakte hai.
Par isme apko apne Faecbook page par likes laane ke liye pahle Facebook Boost ke jariye se Facebook company ko paise dekar likes purchase karne hoge jab apke likes bahut achhe ho jaege tab aap dusre blog ya website ke link apne page me share karke unke link par click/traffic bhej sakte hai.
Par yah tarika thik nahi rahega kyonki isme ap Facebook page pe depend rah jaoge.
3 More Extra Tarike:
- Chitika Kya Hai? Chitika Se Paise Kaise Kamaye in Hindi (Guide)
- WhatsApp Se Paise Kaise Kamaye in Hindi (8 Best Tarike)
- Bidvertiser Kya Hai Isse Paise Kaise Kamaye in Hindi Guide
9. Google AdSense Se Paise Kamaye
Yah 3 tariko se kaam karta hai, blog, YouTube channel aur mobile app & game.
Isme kuch is tarah hota hai ki agar apke pas me koi YouTube channel, website & blog ya apps & game hai jiske users hajaro main hai tab aap AdSense se ad code lekar apne game, app, website etc me laga skate hai jiske baad AdSense apne aap companies ki advertise show karega jiske liye ab apko kuch bhi nahi karna apki har mahine kamai hoti rahegi jo apke bank account par transfer kar di jaegi.
Almost blogger Google adsense se hi online kamai karte hai.
Read: Google Adsense Se Paise Kaise Kamaye? in Hindi (Beginner Guide)
No comments:
Post a Comment